Thanshu Guliani

Tajurbe likhna agar kala hai to main kalakaar hu..
Send Message

Barsaat

Aaj tamaam sazishein aur khuraafaat hone do
Masley kal suljha lenge, tum aaj barsaat hone do
Zindagi ki pyaas ko ehsaas hai is nagme ka
Ek khauf kahi mandra raha hai, meelon door us sadme ka
Maut ko zindagi ka agar dar hai, to dar mere yaar hone do
Zindagi to kal bhi chalegi, tum aaj barsaat hone do.
451 Total read