Thanshu Guliani

Tajurbe likhna agar kala hai to main kalakaar hu..
Send Message

Tasweere

Phir kabhi dohraunga ye kisse to ungliyan thehar jayengi..
Ye tasweere nahi yaadein hai.. Us beete hue samay ki yaade jo kabhi laut ke nahi aayengi..
Jo aaj suhani lagti hai... Wo kal sabhi ko satayengi....
Shukr guzar hu tum sbka ki ye tasweere tumhe meri aur mughe tumhari yaad dilayengi....
Main hounga tum hoge apni apni tanhai me...
Main hounga tum hoge apni apni tanhai me..
Aur achanak wo tasweer tumhe dikh jayegi...
Ho sakta hai tum aana na chaho... Par wo tumhe wapas is lamhe me kheech layegi...
Main hounga tum hoge apni apni tanhai me...
Aur wo tasweere dekhte dekhte wo raat guzar jayegi..
Yakeen mano.. Tum sona chahoge bhi... To bhi tumhe neend nahi aaegi....

Tumhare jo secrets hai.. Wo m kabhi khol nahi paunga...
Chal yaar aaja canteen chale... Phir bol nahi paunga... - (X2)
Magar yaad rakhunga...
Yaad rakhunga
un lamho ko jahan hum sab sath me classes me naache the...
Wo jo thore dukh thore sukh humne baate the...
Jaha tumne mere aur mene tumhare rone sune...
Apan esa karenge apan vesa karenge... Na jane kese kese sapne bune...
Jab yaha aaya to dekha ki ek insan ke kitne alag alag roop bante hai...
Agar survive krna hai to beta samajh jao...yaha alag alag group bante hai...
Par wo group ban ke tik nahi pate...
Gile shikwe hi aakhir humare mit nahi pate...
Hum kitna sb sochte rehte hai... Na jane kyu usse ek jagah likh nahi paate..
Kon sahi h.... Kon galat... Ye antar kyu hume dikh nahi pate...
Par ab jo ja rahe hai... To koi gam nahi hai...
Hum sabne ek dusre ko 3 saal jhel lia.. Yr kam thori hai....
M janta hu ke tum me se bht kam logo se mil paunga....
Par mere pas sabke kisse hai.... Jb miloge tab wo dohraunga aur tumhe yaad dilaunga... Ke m bhi waha tha....

Main bhi waha tha jab tum has rahe the...
Main bhi waha tha jab tum jhagad rahe the..
Main bhi waha tha jab tum akele the...
Main bhi waha tha jab tum ye sun rahe the...

Aur suno... Aakhri baat hai...
Aaj kisi se koi wayda mat karna... Kyuki ab tumhare pas... Na nibha pane par.... Mafi mangne ke lie Koi free period nai hoga?
412 Total read