Thanshu Guliani

Tajurbe likhna agar kala hai to main kalakaar hu..
Send Message

Imtehaan

Feroz - Lucky (bhagyashaali)
Fehrisht - list
Sarfarosh - Daring
Gawara - accepted
Kisht - installment


Aye zindagi tera imtehaan har Roz dia hai maine
Ab ye bata ke kya khudko feroz kia hai maine..?
Aye zindagi tera imtehaan har roz dia hai maine..
Har ghadi Har lamha jab mughse jhuk jaane ko kehta tha...
Wo badta faasla jab mughe ruk jane ko kehta tha...
Khula aasmaan bhi jab ghutan mehsoos karata tha...
Jab bhari dhoop me mere samne andhera cha jata tha...
Kya bandishon se ladkar khudko koi bojh dia hai maine..?
Aye zindagi.. Tera imtehaan har roz dia hai maine..

Bade hote hue jaana ke choti khushiyan paane ki bhi yaha har maheene ki kisht hai
Hum baazar me nikle to dekha ke yaha to sapne dekhne walo ki fehrisht hai
Jo taakatwar hathon me liye unke hausalon ko girane me lage hai...
Girne wale kahi phir umeed laga kar kamyabi paane me lage hai..
In gir kar uthne walo ka naam sarfarosh dia hai maine..
Aye zindagi tera imtehan har roz dia hai maine

Ke zindagi tere imtehaan me.. Main kabhi haaara na tha...
Mera khuddari wala chehra shayad Usse gawara na tha
Uske har toote hue mod par main to uski laathi tha magar
Mere dagmagate lamho me wo mera sahara na tha...
Bin sahare ke tughe jeene ka bahana khoj lia hai maine...
Aye zindagi tera imtehan har roz dia hai maine..!
Ab ye bata kya khudko... Feroz kia hai maine..?
Aye zindagi tera imtehan har roz dia hai maine...
357 Total read