Nidhi Pandey

February 1,2003 - Uttarakhand
Send Message

School Ka Zamana

Ek school ka zamana tha,
Usse alag sa nata tha
Homework to karna tha,
Par insta bhi to chalana tha,
Exam ke liye padhna to tha,
Par birthday party mein bhi to jaana tha,

Boards ka khauf tha,
Bahut time hai wala jhut tha,
Yaaron ka yarana,
Aur bunk karne ka bahana tha,

Haan,vo ek school ka zamana tha,
Usse alag sa naata tha!
542 Total read