Momin Khan Momin

1800 - 1851 / Delhi / British India

Thii wasl meN bhii fikr-e-judaa'ii tamaam shab

thii wasl meN bhii fikr-e-judaa'ii tamaam shab
wo aaye bhii to niiNd na aayii tamaam shab

waaN taanah tiir_baar, yahaaN shikvah zaKhm_rez
baaham thii kis maze kii laRhaayii tamaam shab

raNgiiN hai Khoon-e-sar se wo haath aaj-kal, rahe
jis haath meN wo dast-e-hinaayi tamaam shab

taaloo se yaaN zabaan sahar tak naheeN lagee
thaa kis ko shaGhl-e-naGhma-saraayi tamaam shab?

yak_baar dekhte hee mujhe Ghash jo aa gayaa
bhoole the woh bhii hosh_rubaayi tamaam shab

mar jaate kyoN na subH ke hote hii hijr meN
takleef kaisii-kaisii uThaayi tamaam shab

garm-e-jawaab-e-shikwah-e-jaur-e-u'doo rahaa
us sho'lah-Khoo ne jaan jalaayi tamaam shab

kahtaa hai mah_wish tumheN kyoN Ghair, gar nahiiN
din bar hameshah wasl-e-judaayi tamaam shab

dhar paa'ooN aastaaN pe ke is aarzoo meN aah
kii hai kisii ne naasiyaah-saayi tamaam shab

'Momin'! maiN apne naaloN ke sadqe ke, kahte haiN
us ko bhii aaj neeNd nah aayi tamaam shab
130 Total read