Momin Khan Momin

1800 - 1851 / Delhi / British India

Chal pare haT mujhe na dikhla muNh!

Chal pare haT mujhe na dikhla muNh!
Aai shab-e-hijr tayra kaala muNh!

Aarzu-e-nazaara thi ____ tu ne
Itni hi baat par cHupaaya muNh!

DushmanoN se bigaR gaee, to bhi
Dekhte hi mujhe banaaya muNh

Ho gaya raaz-e-ishq be-parda
Us ne parde se jo nikaala muNh

Shab-e-gham ka bayaan kya kije
Hai baRi baat aur cHoTa muNh

Jab kaha yaar se, dikha soorat
HaNs k bola k dekho apna muNh!

Phir gaee aaNkh misl-e-qibla-numa
Jis taraf us sanam ne pheira muNh
126 Total read