Bashir Badr

15 February 1935 - / Ayodhya, India

Khushboo ki tarah aaya wo tez hawaaon mein

Khushboo ki tarah aaya wo tez hawaaon mein
Manga tha jise hamne din raat duaon mein

Turn chhat pe nahin aaye main ghar se nahi nikla
Ye chaand bahut bhatka saawan ki ghataaon mein

Is shahr mein ik ladki bilkul hai ghazal jaisi
Bijli si ghataon mein khushboo si hawaon mein

Mausam ka ishaara hai khush rahne do bachchon ko
Masoom mohabbat hai phoolon ki khataon mein

Bhagwaan hi bhejenge chawal se bhari thali
Mazloom parindon ki masoom sabhaon mein

Dada bade bhole they sab se yahi kahte they
Kuchh zahr bhi hota hai angrezi dawaaon mein
204 Total read