Bashir Badr

15 February 1935 - / Ayodhya, India

Ibadaton ki tarah main ye kaam kart a hun

Ibadaton ki tarah main ye kaam kart a hun
Mera usool hai pahle salaam karta hun

Mukhalifat se miri shakhsiyat sanwarti hai
Main dushmanon ka bada ehteram karta hun

Main apni jeb mein apna pata nahin rakhta
Safar mein sirf yahi ehtemam karta hun

Main dar gaya hun I)ahut sayadaar pedon se
Zara si dhoop bichhakar qayaam karta hun

Mujhe khuda ne ghazal ka dayar bakhsha hai
Ye saltanat main mohabbat ke naam karta hun
323 Total read