Bashir Badr

15 February 1935 - / Ayodhya, India

Har baat mein mahke huye jazbaat ki khushboo

Har baat mein mahke huye jazbaat ki khushboo
Yaad aayi bahut pahli mulaqaat ki khushboo

Chhup chhup key nayi subah ka munh choom rahi hai
In reshmi zulfon mein basi raat ki khushboo

Mausam bhi haseenon ki adaa seekh gaye hein
Baadal hein chhupaye huye barsaat ki khushboo

Ghar kitne hi chhote hon ghane ped milenge
Shahron se alag hoti hai qasbaat ki khushboo

Honton par abhi phool ki patti ki mahak hai
Sanson mein rachi hai tiri soghaat ki khushboo
192 Total read