Bashir Badr

15 February 1935 - / Ayodhya, India

Chamak rahi hai paron mein udan ki khushboo

Chamak rahi hai paron mein udan ki khushboo
Bula rahi hai bahut aasman ki khushboo

Bhatak rahi hai purani dulaiyan odhe
Haweliyon mein mire khandan ki khushboo

Suna ke koi kahani hamein sulati thi
Duaon jaisi bade paandan ki khushboo

Ajab viqar tha sookhe sunahre baalon mein
Udasiyon ki chamak zard laan ki khushboo

Wo itrdaan sa lehja mire buzurgon ka
Rachi basi hui Urdu zaban ki khushboo

Khuda ka shukr hai mere jawaan bate key
Badan se ane lagi hai zaafran ki khusboo

Imarton ki bulandi pe koi mausam kya
Kahan se aagyi kachche makan ki khushboo

GuIon pe likhti hui lailaha illallah
Pahadiyon se utarti azan ki khusboo
144 Total read