Bashir Badr

15 February 1935 - / Ayodhya, India

Bhigi hui aankhon ka ye manzar na milega

Bhigi hui aankhon ka ye manzar na milega
Ghar chhod ke mat jao kahin ghar na milega

Phir yaad bahut ayegi zulfon ki ghani shaam
Jab dhoop mein saya koi sar par na milega

Aansu ko kabhi os ka qatra na samjhna
Aisa tumhen chahat ka samandar na milega

Is khwab ke maahol mein bekhwab hein aankhen
Jab neend bahut ayegi bistar na milega

Ye soch 10 ab akhiri saya hai mohabbat
Is dar se uthoge to koi dar na milega
272 Total read