Bashir Badr

15 February 1935 - / Ayodhya, India

Aansuon se dhuli khushki ki tarah

Aansuon se dhuli khushki ki tarah
Rishte hote hain shayri ki tarah

Ham khuda ban key aayenge warna
Ham se mil jao aadmi ki tarah

Barf seene ki jaise jaise gali
Aankh khulti gayi kali ki tarah

Jab kabhi badlon me in ghirta hai
Chand lagta hai aadmi ki tarah

Kisi rozan kisi dareeche se
Saamne aao roshni ki tarah

Sab nazar ka fareb hai warna
Koi hota nahin kisi ki tarah

Khubsoorat udaas Khaufzada
Woh bhi hai beeswin sadi ki tarah

Janta hun ki eik din mujhko
wo badal dega dayri ki tarah
146 Total read